Shurua Silsila-e-did Karne Wala Tha

shurua silsila-e-did karne wala tha

taaruf-e-ruKH-e-tauhid karne wala tha

KHud us ki zud lisani ne us ko gung kiya

wo mere haal pe tanqid karne wala tha

mizaj-e-yar ne baKHshi thi aisi yak-rangi

kahan main ghair ki taqlid karne wala tha

tu muntaha ko pahunch kar bhi sifr hai ab tak

tujhe main waqif-e-tamhid karne wala tha

hamari sal mein do bar jaan jati hai

wo shaKHs roz hi ek id karne wala tha

wo mere waz se masjid mein jab sambhal na saka

sharab-KHane mein takid karne wala tha

bacha ke fikr ko talKHaba-e-tawarud se

ghazal ko KHugar-e-taqid karne wala tha

wo ham-piyala bhi tha KHwaja-e-tash bhi 'kawish'

jo baat baat pe tardid karne wala tha

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shurua Silsila-e-did Karne Wala Tha In English By Famous Poet Kavish Badri. Shurua Silsila-e-did Karne Wala Tha is written by Kavish Badri. Read famous Poem Shurua Silsila-e-did Karne Wala Tha for youth and Student by Kavish Badri. Free Download Shurua Silsila-e-did Karne Wala Tha in PDF.