So Raha Hun Main Ki Ye Jaga Hua Sa KHwab Hai

so raha hun main ki ye jaga hua sa KHwab hai

la-shuuri wusaton mein unghta sa KHwab hai

muKHtasar hain zindagi ke din magar raaten tawil

bewafa aankhon ko hasil ba-wafa sa KHwab hai

ek manzar ko mukammal dekhta hai kaun ab

koi sunta hai kahan kya gunjta sa KHwab hai

nag hai saya-fagan sar par hun main mahw-e-KHiram

mujh apahij ko mayassar shankar-asa KHwab hai

shairi mein anfus o aafaq mubham hain abhi

istiara hi haqiqat mein KHuda sa KHwab hai

KHam hai 'kawish' hamara KHwab din mein dekhna

shaiKH-chilli aur sab ka be-tuka sa KHwab hai

(822) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

So Raha Hun Main Ki Ye Jaga Hua Sa KHwab Hai In English By Famous Poet Kavish Badri. So Raha Hun Main Ki Ye Jaga Hua Sa KHwab Hai is written by Kavish Badri. Read famous Poem So Raha Hun Main Ki Ye Jaga Hua Sa KHwab Hai for youth and Student by Kavish Badri. Free Download So Raha Hun Main Ki Ye Jaga Hua Sa KHwab Hai in PDF.