TariKH Ke Safhat Mein Koi Nahin Ham-sar Mera
tariKH ke safhat mein koi nahin ham-sar mera
mahw-e-safar hai aaj tak phenka hua patthar mera
har samt sehn-e-zat mein phaile hue sae mere
baiTha hai taKHt-e-fikr par simTa hua dilbar mera
kya KHush-nasibi hai meri main ek tanha fauj hun
jhuT aur sach ki jang mein kaam aa gaya lashkar mera
mahaul sab ka ek hai aanhken wahi nazren wahi
sab se alag rahen meri sab se juda manzar mera
ek rang-e-istighraq hai ek nikhat-e-awargi
Thahra hua gagar mein hai bahta hua sagar mera
duniya karegi ek din auraq-gardani meri
yaad aaega ahbab ko ganjina-e-gauhar mera
'kawish' ana ki qaid ke diwar-o-dar girne ko hain
ek aalam-e-asghar mein hai ek aalam-e-akbar mera
(927) Peoples Rate This