Charagh-e-shauq Jala Raat Ke Asar Se Nikal

charagh-e-shauq jala raat ke asar se nikal

safar na rok tilismat-e-rahguzar se nikal

kabhi to dast-e-hinai se likh visal ki rut

kabhi to shisha-e-jaan TuTne ke Dar se nikal

jawaz DhunD na apni sada bikharne ka

hayat mohr-ba-lab dast-e-chaara-gar se nikal

zara si wusat-e-idrak mein na gum ho ja

is imtihan se guzar hairat-e-KHabar se nikal

tere KHayal mein hun shahr-e-raftagan tu bhi

kisi khanDar se ubhar aks-e-baam-o-dar se nikal

zakat-e-KHwab mein de di hain main ne aankhen bhi

ab ai jahan-e-digar hita-e-nazar se nikal

nigah-e-zard mein ug sabz KHwab ki konpal

gulab-e-shaKH phir ujDe hue shajar se nikal

bandhe hain sham sutunon se subh ke tare

jamal-e-yar kisi naqsh-e-motabar se nikal

fasil-e-shahr pe aks-e-shab-e-tassuf hai

najat-e-gham ki kiran KHema-e-sahar se nikal

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh-e-shauq Jala Raat Ke Asar Se Nikal In English By Famous Poet Khaavar Ejaz. Charagh-e-shauq Jala Raat Ke Asar Se Nikal is written by Khaavar Ejaz. Read famous Poem Charagh-e-shauq Jala Raat Ke Asar Se Nikal for youth and Student by Khaavar Ejaz. Free Download Charagh-e-shauq Jala Raat Ke Asar Se Nikal in PDF.