Makan Nazdik Hai Ya La-makan Nazdik PaDta Hai

makan nazdik hai ya la-makan nazdik paDta hai

kahin aa jao mujh ko har jahan nazdik paDta hai

jahan tum ho wahan se dur paDti hai zamin meri

jahan main hun wahan se aasman nazdik paDta hai

suna hai ek jahan-e-be-nihayat ho magar phir bhi

ye tai hai be-karan ko be-karan nazdik paDta hai

chale aate hain hum ek dusre ki samt mein warna

tumhein sahra mujhe dariya kahan nazdik paDta hai

nae alfaz rakh kar dekhta hun kuchh puranon mein

maani se mera rishta kahan nazdik paDta hai

bala ki dhup hai dasht-e-talab mein ai dil-e-nadan

yahan kis aarzu ka saeban nazdik paDta hai

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Makan Nazdik Hai Ya La-makan Nazdik PaDta Hai In English By Famous Poet Khaavar Ejaz. Makan Nazdik Hai Ya La-makan Nazdik PaDta Hai is written by Khaavar Ejaz. Read famous Poem Makan Nazdik Hai Ya La-makan Nazdik PaDta Hai for youth and Student by Khaavar Ejaz. Free Download Makan Nazdik Hai Ya La-makan Nazdik PaDta Hai in PDF.