Maqam-e-nur Ho Kar Rah Gaya Hai

maqam-e-nur ho kar rah gaya hai

wo hum se dur ho kar rah gaya hai

charagh-e-dil bujha to tan-badan mein

dhuan mahsur ho kar rah gaya hai

KHudi mein be-KHudi ko chhu liya tha

nasha kafur ho kar rah gaya hai

hawa ghere hue hai taq-e-shab ko

diya mazur ho kar rah gaya hai

jo tara KHak se hona tha zahir

wahi mastur ho kar rah gaya hai

ye dil had se guzarna chahta tha

magar majbur ho kar rah gaya hai

mera gham teri tariKH-e-karam mein

faqat mazkur ho kar rah gaya hai

unhi hathon se banna aur miTna

yahi dastur ho kar rah gaya hai

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maqam-e-nur Ho Kar Rah Gaya Hai In English By Famous Poet Khaavar Ejaz. Maqam-e-nur Ho Kar Rah Gaya Hai is written by Khaavar Ejaz. Read famous Poem Maqam-e-nur Ho Kar Rah Gaya Hai for youth and Student by Khaavar Ejaz. Free Download Maqam-e-nur Ho Kar Rah Gaya Hai in PDF.