Hamesha Ki Tarah Banhen Meri Patwar Karne Ka
hamesha ki tarah banhen meri patwar karne ka
kiya hai faisla naw ne dariya par karne ka
wahi hai mashghala sadiyon purana aaj bhi apna
zamin par bojh hone aasman ko bar karne ka
safar ka marhala to baad mein mahl-e-nazar hoga
abhi to muddaa hai rasta pur-KHar karne ka
talluq TuTta jata hai apne-ap se mera
tawassut ban rahi hai aagahi bezar karne ka
mujhe rakhti hai mushkil roz-marra ki sahulat mein
mera mamul hai aasaniyan dushwar karne ka
tamaddun ko hawa deti hai aashufta-sari meri
mujhe tamir karta hai junun mismar karne ka
kahan tak aur jaane aazmati jaegi mujh par
hunar jo jaanti hai shaeri bekar karne ka
wo kuchh se kuchh bana Dalega taslimat ke mani
saliqa aa gaya us ko agar inkar karne ka
na jaane soch kar suraj ne kya shab ki qalam-rau par
irada multawi hi kar diya yalghaar karne ka
(977) Peoples Rate This