Hangam-e-hawas-kar Mohabbat Ke Liye Hai

hangam-e-hawas-kar mohabbat ke liye hai

hai jo bhi kashakash wo nadamat ke liye hai

jina to alag baat hai marna bhi yahan par

har shaKHs ki apni hi zarurat ke liye hai

milne tujhe aaya hun na milne ke liye hi

aamad ye meri asl mein ruKHsat ke liye hai

aaKHir ko yahi kar-gari-e-barf pighal kar

maujon ke tawassul se hararat ke liye hai

main hath na aane ka hun tere ai zamane

yani mera hona teri hasrat ke liye hai

main nind ka dar khole hue hun teri KHatir

har KHwab mera teri sahulat ke liye hai

wo hai ki nazar aata nahin aur kisi ko

wo hai ki faqat meri basarat ke liye hai

qudarat hi ko manzur hai kuchh aur wagarna

har lamha-e-ainda qayamat ke liye hai

imkan ne jo shahr basaya hai wahan par

har chashm-e-tamasha nai hairat ke liye hai

(709) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hangam-e-hawas-kar Mohabbat Ke Liye Hai In English By Famous Poet Khaavar Jilani. Hangam-e-hawas-kar Mohabbat Ke Liye Hai is written by Khaavar Jilani. Read famous Poem Hangam-e-hawas-kar Mohabbat Ke Liye Hai for youth and Student by Khaavar Jilani. Free Download Hangam-e-hawas-kar Mohabbat Ke Liye Hai in PDF.