Kuchh Bacha Le Abhi Aansu Mujhe Rone Wale
kuchh bacha le abhi aansu mujhe rone wale
sanehe aur bhi hain ru-numa hone wale
waqt ke ghaT utar kar nahin wapas lauTe
dagh malbus-e-mah-o-mahr ke dhone wale
daem aabaad rahe dar-e-fana ke basi
fikr mein ruh-e-baqayab samone wale
thartharaati rahe ab KHwah hama-waqt zamin
so gae KHak-e-abad oDh ke sone wale
jis pe bhi panw dhara main ne usi naw mein
aae aasar nazar KHud ko Dubone wale
ab liye phirta hai kya daman-e-sad-chaak apna
kya hue ab wo tere sine pirone wale
ja nikalta hai achanak wahin rasta mera
dar pa-e-pa hon jahan KHar chubhone wale
gard hai hath mein un ke meri kusht-e-zar-KHez
KHar-o-KHas se jo alawa nahin bone wale
ye bhi ek turfa tamasha hai ki hain andhiyare
resha-e-shab mein sitaron ko pirone wale
kar gae KHushk bhari jhil tassuf ke kanwal
sukh kar kanTa hue raat bhigone wale
de gaya hai jo hamein ahd-e-marasim us ka
us KHazane ko nahin hum nahin khone wale
(993) Peoples Rate This