Mufassal Dastanen MuKHtasar Kar Ke Dikhaenge

mufassal dastanen muKHtasar kar ke dikhaenge

tawalat umr bhar ki jast bhar kar ke dikhaenge

jo sapne dekh rakkhe hain jahan-e-dida-e-wa ne

unhen tabir ke zer-e-asar kar ke dikhaenge

ye wo nam-nakiyan hain jo hawa dengi alaw ko

ye wo aansu hain jo KHud ko sharar kar ke dikhaenge

bharosa rah gaya kuchh KHak ko hum par agar to hum

fana ke samne jiwan basar kar ke dikhaenge

talaffuz par na ho mauquf jab kuchh to maani ko

kisi ke lafz kya zer-o-zabar kar ke dikhaenge

ye baadal kya dikhaenge hawa ko mushtail ho kar

ye patte peD ko kya dar-ba-dar kar ke dikhaenge

ijaza ho gaya mojaz-bayani ka to hum tere

isi tuKHm-e-tahayyur ko shajar kar ke dikhaenge

agar patal ban jaega us ki tah mein utrenge

agar choTi banega us ko sar kar ke dikhaenge

guman jo os ke qatron ki surat hain abhi 'KHawar'

kisi din wo tumhein KHud ko bhanwar kar ke dikhaenge

(749) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mufassal Dastanen MuKHtasar Kar Ke Dikhaenge In English By Famous Poet Khaavar Jilani. Mufassal Dastanen MuKHtasar Kar Ke Dikhaenge is written by Khaavar Jilani. Read famous Poem Mufassal Dastanen MuKHtasar Kar Ke Dikhaenge for youth and Student by Khaavar Jilani. Free Download Mufassal Dastanen MuKHtasar Kar Ke Dikhaenge in PDF.