Nafe Hai Kuchh To Wo Kisi Faizan Hi Ka Hai

nafe hai kuchh to wo kisi faizan hi ka hai

warna talluqa mera nuqsan hi ka hai

kulfat hai sab ki sab ye tawaqqo ke nam ki

jo bhi kiya dhara hai ye imkan hi ka hai

mal-o-manal dast-gah-e-hadsat ka

rahte hain gar bahaal to ausan hi ka hai

manzar wo hai ki jo kabhi shashdar na kar sake

hairat ye hai ki dida-e-hairan hi ka hai

ilzam KHud hun main yahan hasti ke nam par

mera wajud asl mein bohtan hi ka hai

tafsil mein to simTa hua hi tha inkisar

ijmal bhi ye ijz ke unwan hi ka hai

aaKHir ayan hua ki marasim ki zail mein

asbab-e-dil-shikastagi paiman hi ka hai

jab tak ba-dosh rahta hai rahta hun gamzan

mera safar haqiqatan saman hi ka hai

utre wo naw-e-shauq se ho Dubna jise

sahil mizaj-e-bahr ka tufan hi ka hai

aawargan ke waste kirdar dasht ka

anjam-kar hita-e-zindan hi ka hai

ja-e-panah us ki koi dusri nahin

'KHawar' kahin ka hai to bayaban hi ka hai

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nafe Hai Kuchh To Wo Kisi Faizan Hi Ka Hai In English By Famous Poet Khaavar Jilani. Nafe Hai Kuchh To Wo Kisi Faizan Hi Ka Hai is written by Khaavar Jilani. Read famous Poem Nafe Hai Kuchh To Wo Kisi Faizan Hi Ka Hai for youth and Student by Khaavar Jilani. Free Download Nafe Hai Kuchh To Wo Kisi Faizan Hi Ka Hai in PDF.