Qadam Qadam Ka Ilaqa Hai Na-rawa Tak Hai
qadam qadam ka ilaqa hai na-rawa tak hai
fusun-e-jaur-o-jafa pesha ja-ba-ja tak hai
gar ek bar ka hona alam ghanimat tha
sitam to ye hai ki dar-pesh bar-ha tak hai
diye ki lau se nahin wasta kisi ka koi
agar kisi ka koi hai to phir hawa tak hai
amal hai KHud pe amal-dar ta dam-e-mauquf
aur is ka radd-e-amal apne iltawa tak hai
sada-e-shor-o-shaghab hai idhar samaat tak
shunid gird o jawanib idhar sada tak hai
magar ye kaun batae safar-e-nawardon ko
ki had dasht-e-junun un ke iktifa tak hai
ai be-qarari-e-dil mujh ko ye KHabar hi na thi
ki jo qarar ki sarhad hai ittiqa tak hai
KHuda se baad mein rakkhe hue hai duniya ko
wo fasla jo hatheli se ek dua tak hai
kahin pare ki hai hajat-rawai se meri
mera sawal zarurat se mawara tak hai
hai tu hi aankh meri ai jamal-e-pesh-e-nazar
so ye tamasha mera ek teri raza tak hai
nahin hai koi bhi hatmi yahan had-e-malum
har ek intiha ek aur intiha tak hai
(726) Peoples Rate This