Raft O Aamad Bana Raha Hun Main

raft o aamad bana raha hun main

rah-e-maqsad bana raha hun main

kaam mein la ke kuchh KHas-o-KHashak

apni masnad bana raha hun main

zindagi jurm to nahin lekin

ho ke sarzad bana raha hun main

yunhi bekar main paDa KHud ko

kar-amad bana raha hun main

goya apni hudud se baDh kar

apni sarhad bana raha hun main

kar raha hun hayat-e-nau tamir

apna marqad bana raha hun main

de raha hun jila shararon ko

KHud ko mubad bana raha hun main

mah ki aaj phir gahan ban kar

tab-e-aswad bana raha hun main

munharif ho ke us ki chahat se

KHud ko murtad bana raha hun main

wo ki ban pa nahin raha mujh se

jo ki shayad bana raha hun main

ug raha hun main aur sath apne

sar pe bargad bana raha hun main

(695) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raft O Aamad Bana Raha Hun Main In English By Famous Poet Khaavar Jilani. Raft O Aamad Bana Raha Hun Main is written by Khaavar Jilani. Read famous Poem Raft O Aamad Bana Raha Hun Main for youth and Student by Khaavar Jilani. Free Download Raft O Aamad Bana Raha Hun Main in PDF.