Ruh Ke Daman Se Apni Duniya-dari Bandh Kar

ruh ke daman se apni duniya-dari bandh kar

chal rahe hain dam-ba-dam aankhon pe paTTi bandh kar

ye kahani ek aise sar-phire mausam ki hai

KHushk patton se jo le aaya tha aandhi bandh kar

haq agar koi numu ka tha to wo us ne ada

kar diya hai baadalon se aabyari bandh kar

subh hoti hai to kunj-e-KHush-gumani mein kahin

phenk di jati hai shab bhar ki siyahi bandh kar

ai mere dariya agar koi bharosa ho tera

chhoD jaun main teri lahron se kashti bandh kar

gam uThte hi safar ne paT di sari KHalij

rah-rawi ne Dal di ek samt duri bandh kar

main sarasar ek andesha hun naqs-e-amn ka

mujh ko rakhta hai lihaza mera qaidi bandh kar

ijz-goi par paDaw Dal deti hai meri

lafz-yabi manawiyat se hai titli bandh kar

khil rahe hain sar-zamin-e-dil pe jazbon ke gulab

uD rahi hai aaj KHushbu KHud se titli bandh kar

jaane sine mein bikau shai hai kya jis ke liye

dauDti phirti hain sansen rez-gari bandh kar

wa hue hote dariche aaj imkanat ke

gar na rakh deti hamein apni masai bandh kar

(792) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ruh Ke Daman Se Apni Duniya-dari Bandh Kar In English By Famous Poet Khaavar Jilani. Ruh Ke Daman Se Apni Duniya-dari Bandh Kar is written by Khaavar Jilani. Read famous Poem Ruh Ke Daman Se Apni Duniya-dari Bandh Kar for youth and Student by Khaavar Jilani. Free Download Ruh Ke Daman Se Apni Duniya-dari Bandh Kar in PDF.