Sar-e-iza-rasani Chal Rahi Hai

sar-e-iza-rasani chal rahi hai

tabiat mein girani chal rahi hai

isi dil ke hazaron waswason mein

wahi dhaDkan purani chal rahi hai

chala jata hai har ek chal-chalaw

jo shai hai aani-jaani chal rahi hai

main barg-e-KHushk hun hamrah mere

hua ki bad-gumani chal rahi hai

badan mein sans ki surat yaqinan

koi naql-e-makani chal rahi hai

bahut hi muKHtasar si zindagi mein

baDi lambi kahani chal rahi hai

abhi wo sath hai mere so mujh par

KHuda ki mehrbani chal rahi hai

sabhi kirdar thak kar so gae hain

magar ab tak kahani chal rahi hai

KHayal aata tha us ka jis rawish par

ab us par be-KHayali chal rahi hai

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar-e-iza-rasani Chal Rahi Hai In English By Famous Poet Khaavar Jilani. Sar-e-iza-rasani Chal Rahi Hai is written by Khaavar Jilani. Read famous Poem Sar-e-iza-rasani Chal Rahi Hai for youth and Student by Khaavar Jilani. Free Download Sar-e-iza-rasani Chal Rahi Hai in PDF.