Rawan Hai Mauj-e-fana Jism O Jaan Utar Mujhe
rawan hai mauj-e-fana jism o jaan utar mujhe
utar ab ke sar-e-asman utar mujhe
mera wajud samundar ke iztirab mein hai
ki khul raha hai tera baadban utar mujhe
bahut aziz hun KHaran-e-taza-kar ko main
bahut udas hai dasht-e-jawan utar mujhe
koi jazira jahan hast-o-bud ho na fana
wajud ho na zamana wahan utar mujhe
(370) Peoples Rate This