Meri Nazar Mein Dosto Jis Shahr Ke Gulzar Hain

meri nazar mein dosto jis shahr ke gulzar hain

sabza baDa sarkash hai wan aur sard KHush-raftar hain

shaKHen hain wan aarasta aur gul hain wan nau-KHasta

pyale hain jin ke madh-bhare aur pairahan zar-kar hain

har har qadam par KHub-ru aaram-e-jaan aur kaam-ju

aankhon mein ghunchon ki chaTak chehre ghazab gulnar hain

jitne ye kam-amez hain itne hi shauq-angez hain

zahir mein jitne saKHt hain itne hi kam-azar hain

un ki nigah ka saiqa karta hai kar-e-laiqa

chakkhen jo us ka zaiqa saton samundar par hain

harf-e-ghalat din-e-kuhan sare hijabaat-e-badan

aazad hain sab mard-o-zan sab aadmi sab yar hain

jage hue hain mai-kade har kufr-o-iman se pare

bikhri hui tasbih hai TuTe hue zunnar hain

(450) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Nazar Mein Dosto Jis Shahr Ke Gulzar Hain In English By Famous Poet Khurshid-ul-islam. Meri Nazar Mein Dosto Jis Shahr Ke Gulzar Hain is written by Khurshid-ul-islam. Read famous Poem Meri Nazar Mein Dosto Jis Shahr Ke Gulzar Hain for youth and Student by Khurshid-ul-islam. Free Download Meri Nazar Mein Dosto Jis Shahr Ke Gulzar Hain in PDF.