Raat Bhi Hai Kuchh Suni Suni Din Bhi Kuchh Viran Sa Hai

raat bhi hai kuchh suni suni din bhi kuchh viran sa hai

phul bhi hain kuchh sahme sahme bagh bhi kuchh hairan sa hai

qarya qarya auj pe sar hain nok-e-sinan sarsabz si hai

KHanjar jhamken lal se goya gardan par ehsan sa hai

daen baen aage pichhe patthar ki diwaren hain

kis se kahiye aur kya kahiye jo bhi kahe nadan sa hai

din se jo bhi raat mili hai girya ki diwar si hai

raat se jo bhi din paya hai nuh ka ek tufan sa hai

jis ko dekho aisa qatil chullu se jo KHun piye

jis ko dekho aisa sada jaise bas anjaan sa hai

leTe baiThe chupke chupke chaTte rahna zaKHmon ko

ranj ka kuchh izhaar nahin hai lutf ka ye saman sa hai

basti basti aag lage aur galiyon galiyon KHun bahe

qudrat ka ye khel nahin hai qudrat ka farman sa hai

(343) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Bhi Hai Kuchh Suni Suni Din Bhi Kuchh Viran Sa Hai In English By Famous Poet Khurshid-ul-islam. Raat Bhi Hai Kuchh Suni Suni Din Bhi Kuchh Viran Sa Hai is written by Khurshid-ul-islam. Read famous Poem Raat Bhi Hai Kuchh Suni Suni Din Bhi Kuchh Viran Sa Hai for youth and Student by Khurshid-ul-islam. Free Download Raat Bhi Hai Kuchh Suni Suni Din Bhi Kuchh Viran Sa Hai in PDF.