Ye Gham Nahin Ki KHushi Mein Bhi Kuchh Maza Na Raha

ye gham nahin ki KHushi mein bhi kuchh maza na raha

hamein ye gham hai ki ab gham bhi jaan-faza na raha

wo KHwab tha ki jien dil ki aarzu ke liye

ye waqia hai ki marne ka hausla na raha

na koi yar na koi dayar kya kije

siwae sans ke ab koi silsila na raha

zaban kanTon ki pyasi rahe rahe na rahe

hamare panw mein jab koi aabla na raha

bas ek arz o sama rah gae hain le de ke

siwae un ke koi apna aashna na raha

hazar naqsh bana aur hazar naqsh miTa

kisi waraq pe haqiqat ka majra na raha

(448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Gham Nahin Ki KHushi Mein Bhi Kuchh Maza Na Raha In English By Famous Poet Khurshid-ul-islam. Ye Gham Nahin Ki KHushi Mein Bhi Kuchh Maza Na Raha is written by Khurshid-ul-islam. Read famous Poem Ye Gham Nahin Ki KHushi Mein Bhi Kuchh Maza Na Raha for youth and Student by Khurshid-ul-islam. Free Download Ye Gham Nahin Ki KHushi Mein Bhi Kuchh Maza Na Raha in PDF.