Bas Ek Waqt Ka KHanjar Meri Talash Mein Hai

bas ek waqt ka KHanjar meri talash mein hai

jo rose bhes badal kar meri talash mein hai

ye aur baat ki pahchanta nahin hai mujhe

suna hai ek sitamgar meri talash mein hai

adhure KHwabon se ukta ke jis ko chhoD diya

shikan-nasib wo bistar meri talash mein hai

ye mere ghar ki udasi hai aur kuchh bhi nahin

diya jalae jo dar par meri talash mein hai

aziz hun main mujhe kis qadar ki har ek gham

teri nigah bacha kar meri talash mein hai

main ek qatra hun mera alag wajud to hai

hua kare jo samundar meri talash mein hai

wo ek saya hai apna ho ya paraya ho

janam janam se barabar meri talash mein hai

main dewta ki tarah qaid apne mandir mein

wo mere jism se bahar meri talash mein hai

main jis ke hath mein ek phul de ke aaya tha

usi ke hath ka patthar meri talash mein hai

wo jis KHulus ki shiddat ne mar Dala 'nur'

wahi KHulus muqarrar meri talash mein hai

(438) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ek Waqt Ka KHanjar Meri Talash Mein Hai In English By Famous Poet Krishn Bihari Noor. Bas Ek Waqt Ka KHanjar Meri Talash Mein Hai is written by Krishn Bihari Noor. Read famous Poem Bas Ek Waqt Ka KHanjar Meri Talash Mein Hai for youth and Student by Krishn Bihari Noor. Free Download Bas Ek Waqt Ka KHanjar Meri Talash Mein Hai in PDF.