Tanduruston Mein Na Bimaron Ke Bich

tanduruston mein na bimaron ke bich

ishq ke hun main dil-afgaron ke bich

ishq hai sair-e-KHuda ai dostan

is liye ashraf hai asraron ke bich

manzil-e-dur-o-daraaz-e-ishq mein

gham ko paya hum ne gham-KHwaron ke bich

dostan hai la-dawa dur-az-shifa

ishq ka aazar aazaron ke bich

ab to hai kunj-e-qafas ghar par kabhi

bulbulo the hum bhi gulzaron ke bich

kya kahen hum kah nahin sakte hain yar

andkon mein hai ki bisyaron ke bich

jis ke juya momin o mushrik hain wo

subbahon mein hai na zunnaron ke bich

rahm kar hum par bhi dil-bar hain tere

ishq ke hathon se aawaron ke bich

gul ne ta dawa kiya ruKH se tere

be-qadar bakta hai bazaron ke bich

ya husain-ibn-e-ali 'matam' ko bhi

kije daKHil apne zawwaron ke bich

(369) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tanduruston Mein Na Bimaron Ke Bich In English By Famous Poet Maatam Fazl Mohammad. Tanduruston Mein Na Bimaron Ke Bich is written by Maatam Fazl Mohammad. Read famous Poem Tanduruston Mein Na Bimaron Ke Bich for youth and Student by Maatam Fazl Mohammad. Free Download Tanduruston Mein Na Bimaron Ke Bich in PDF.