Apni Palkon Se Jo TuTe Hain Guhar Dekhte Hain

apni palkon se jo TuTe hain guhar dekhte hain

hum dua mangte hain aur asar dekhte hain

koi barsa hua baadal bhi jo guzra hai to hum

Dar ke barish mein Tapakta hua ghar dekhte hain

sair kaisi yahan tahzib ki zanjir bhi hai

hum to bas rauzan-e-diwar se dar dekhte hain

sirf KHwabon ka jahan hum ne sajaya warna

log to ji mein jo aa jae wo kar dekhte hain

dagh-e-dil dida-e-tar wahshat-e-jaan tanhai

un ko kya wo to faqat arz-e-hunar dekhte hain

ek wo manzilen baDh kar jinhen lene aaen

ek hum rah mein jo gard-e-safar dekhte hain

dil bujha jata ho jab raat ki tariki mein

dekhne wale tab aasar-e-sahar dekhte hain

(392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Palkon Se Jo TuTe Hain Guhar Dekhte Hain In English By Famous Poet Mah Talat Zahidi. Apni Palkon Se Jo TuTe Hain Guhar Dekhte Hain is written by Mah Talat Zahidi. Read famous Poem Apni Palkon Se Jo TuTe Hain Guhar Dekhte Hain for youth and Student by Mah Talat Zahidi. Free Download Apni Palkon Se Jo TuTe Hain Guhar Dekhte Hain in PDF.