Ek Parinda Sar-e-diwar Bhi Baqi Na Raha

ek parinda sar-e-diwar bhi baqi na raha

ab to parwaz ka didar bhi baqi na raha

habs aisa tha ki sae mein sulag uTThe gulab

lu chali aisi ki gulzar bhi baqi na raha

log dam sadh gae KHauf ne ghera aise

koi andesha-e-be-kar bhi baqi na raha

hadisa kya hua bikhre hue sannaTe mein

lafz se rishta-e-izhaar bhi baqi na raha

ek wahshat hi mataa-e-gham-e-jaanan nikli

lutf-e-dildari-e-gham-KHwar bhi baqi na raha

jaan sisakti rahi KHwahish ke bayabanon mein

shauq-e-har-lahza ka aazar bhi baqi na raha

dil bhi yaadon ki kaDi dhup mein kumhla sa gaya

aur koi saya-e-diwar bhi baqi na raha

aisi virani hai KHud maut bhi katra ke chali

koi marne ka saza-war bhi baqi na raha

(385) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Parinda Sar-e-diwar Bhi Baqi Na Raha In English By Famous Poet Mah Talat Zahidi. Ek Parinda Sar-e-diwar Bhi Baqi Na Raha is written by Mah Talat Zahidi. Read famous Poem Ek Parinda Sar-e-diwar Bhi Baqi Na Raha for youth and Student by Mah Talat Zahidi. Free Download Ek Parinda Sar-e-diwar Bhi Baqi Na Raha in PDF.