Sabab Talash Na Kar Bas Yunhi Hai Ye Duniya

sabab talash na kar bas yunhi hai ye duniya

wahi bahut hai jo kuchh jaanti hai ye duniya

khulat mein band hain konpal ke sote jagte rang

parat parat mein nai dilkashi hai ye duniya

ulajhte rahne mein kuchh bhi nahin thakan ke siwa

bahut haqir hain hum tum baDi hai ye duniya

ye log sans bhi lete hain zinda bhi hain magar

har aan jaise inhen rokti hai ye duniya

bahut dinon to ye sharmindagi thi shamil-e-haal

hamin KHarab hain achchhi bhali hai ye duniya

hare-bhare rahen tere chaman tere gulzar

hara hai zaKHm-e-tamanna bhari hai ye duniya

tum apni lahr mein ho aur kisi bhanwar ki tarah

main dusra hun koi tisri hai ye duniya

wo apne sath bhi rahte hain chup bhi rahte hain

jinhen KHabar hai ki kya bechti hai ye duniya

'KHizan' na soch ki bikti hai kyun badan ki bahaar

samajh ki ruh ki sauda-gari hai ye duniya

(364) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sabab Talash Na Kar Bas Yunhi Hai Ye Duniya In English By Famous Poet Mahboob Khizan. Sabab Talash Na Kar Bas Yunhi Hai Ye Duniya is written by Mahboob Khizan. Read famous Poem Sabab Talash Na Kar Bas Yunhi Hai Ye Duniya for youth and Student by Mahboob Khizan. Free Download Sabab Talash Na Kar Bas Yunhi Hai Ye Duniya in PDF.