Hasrat-e-ab-o-gil Dobara Nahin

hasrat-e-ab-o-gil dobara nahin

dekh duniya nahin hamesha nahin

sochne ka koi natija nahin

saya hai e'tibar-e-saya nahin

sada-kari kai parat kai rang

sadgi ek ada-e-sada nahin

achchhe lagte hain achchhe log mujhe

jo samajhte hain un se parda nahin

main kahin aur kis tarah jaun

tu kisi aur ke alawa nahin

tujh se bhage sukun se bhage

sar-garan hain ki dil-girafta nahin

raat zanjir si qadam-ba-qadam

ek manzil hai koi jada nahin

husn to ho chala zamana-shanas

ishq ka bhi koi bharosa nahin

sunte hain ek jazira hai ki jahan

ye bala-e-hawas-e-KHamsa nahin

ai sitaro kise pukarte ho

is KHarabe mein koi zinda nahin

chandni khelti hai pani se

itni barsat hai ki sabza nahin

kaise be-dard hain ki joDte hain

naram alfaz jin mein rishta nahin

kahin ijad mahz be-mafhum

kahin mafhum hai to lahja nahin

kahin taswir nak-naqshe baghair

kahin diwar hai daricha nahin

un se kaghaz mein jaan kaise paDe

jin ki aankhon mein aks-e-taza nahin

dushmani hai to dushmani hi sahi

main nahin ya dukan-e-shisha nahin

KHak se kis ne uThte dekhi hai

wo qayamat ki istiara nahin

kabhi har sans mein zaman-o-makan

kabhi barson mein ek lamha nahin

bekali tar kasti jae 'KHizan'

hasrat-e-ab-o-gil dobara nahin

(573) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasrat-e-ab-o-gil Dobara Nahin In English By Famous Poet Mahboob Khizan. Hasrat-e-ab-o-gil Dobara Nahin is written by Mahboob Khizan. Read famous Poem Hasrat-e-ab-o-gil Dobara Nahin for youth and Student by Mahboob Khizan. Free Download Hasrat-e-ab-o-gil Dobara Nahin in PDF.