Har Baat Yahan Baat BaDhane Ke Liye Hai

har baat yahan baat baDhane ke liye hai

ye umr jo dhoka hai to khane ke liye hai

ye daman-e-hasrat hai wahi KHwab-e-gurezan

jo apne liye hai na zamane ke liye hai

utre hue chehre mein shikayat hai kisi ki

ruThi hui rangat hai manane ke liye hai

ghafil teri aankhon ka muqaddar hai andhera

ye farsh to rahon mein bichhane ke liye hai

ghabra na sitam se na karam se na ada se

har moD yahan rah dikhane ke liye hai

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Baat Yahan Baat BaDhane Ke Liye Hai In English By Famous Poet Mahboob Khizan. Har Baat Yahan Baat BaDhane Ke Liye Hai is written by Mahboob Khizan. Read famous Poem Har Baat Yahan Baat BaDhane Ke Liye Hai for youth and Student by Mahboob Khizan. Free Download Har Baat Yahan Baat BaDhane Ke Liye Hai in PDF.