Kaif Se KHumar Tak

wo hasin thi mah-e-jabin thi

be-guman thi be-yaqin thi

zindagi ki naram naram aahaTen

be-sabab yunhi muskurahaTen

ungliyon mein baal ko lapeTna

daman-e-KHayal ko lapeTna

har ghaDi wahi milne waliyan

be-KHayaliyan KHush-KHayaliyan

narm uljhanen kam-sini ke KHwab

ang ang mein chheDa inqalab

munh par oDhni ji kabhi nahin

main to aap se bolti nahin

aur phir haya zindagi ki mar

marifat ka bojh jabr-o-iKHtiyar

ek jaan aur sainkaDon wabaal

jism ki dukhan ruh ka KHayal

zindagi baDhi raushni liye

raushni baDhi tirgi liye

inkisar mein ek ghurur sa

kuchh KHumar sa kuchh surur sa

daere yahan daere wahan

raqs mein nazar raqs mein jahan

guftugu mein bal KHamushi mein loch

raat karwaTen karwaTon mein soch

dil bujha bujha tishnagi ki aanch

ajnabi thakan zindagi ki aanch

us ke kaam aaen us ka dukh baTaen

us ko chheD den aur muskuraen

us ki aankh mein kitna dard hai

rang zard hai ruh zard hai

wo udas hai kyun udas hai

us ki zindagi kis ke pas hai

ye gunah kyun bhul kyun nahin

bagh mein tamam phul kyun nahin

(370) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaif Se KHumar Tak In English By Famous Poet Mahboob Khizan. Kaif Se KHumar Tak is written by Mahboob Khizan. Read famous Poem Kaif Se KHumar Tak for youth and Student by Mahboob Khizan. Free Download Kaif Se KHumar Tak in PDF.