Tum Kahan Ho

main tumhaari ruh ki angDaiyon se aashna hun

main tumhaari dhaDkanon ke zer-o-bam pahchanta hun

main tumhaari ankhDiyon mein narm lahren jagti si dekhta hun

jaise jadu jagta ho

tum amar ho to lachakti Tahniyon ki mamta ho

tum jawani ho tabassum ho mohabbat ki lata ho

main tumhein pahchanta hun tum meri pahli KHata ho

lahlahati jhumti phulwariyon ki tazgi ho be-adai ki ada ho

tez manDlati ababilon ke nanhe bazuon ka hausla ho

phul ho aur phul ke anjam se na-ashna ho

Daliyon par phulti ho jhulti ho dekhti ho bhulti ho

har nae fanus pe girti hui parwangi ho

aur KHud bhi raushni ho

zindagi ho zindagi ke gird chakkar kaTti ho

main tumhein pahchanta hun tum mohabbat chahti ho

KHud ko dekho aur bhari duniya ko dekho aur socho

aur socho tum kahan ho

(406) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Kahan Ho In English By Famous Poet Mahboob Khizan. Tum Kahan Ho is written by Mahboob Khizan. Read famous Poem Tum Kahan Ho for youth and Student by Mahboob Khizan. Free Download Tum Kahan Ho in PDF.