Mohabbat Ko Gale Ka Haar Bhi Karte Nahin Banta

mohabbat ko gale ka haar bhi karte nahin banta

kuchh aisi baat hai inkar bhi karte nahin banta

KHulus-e-naz ki tauhin bhi dekhi nahin jati

shuur-e-husn ko bedar bhi karte nahin banta

tujhe ab kya kahen ai mehrban apna hi rona hai

ki sari zindagi isar bhi karte nahin banta

sitam dekho ki us be-dard se apni laDai hai

jise sharminda-e-paikar bhi karte nahin banta

ada ranjidagi parwangi aansu-bhari aankhen

ab itni sadgi kya pyar bhi karte nahin banta

jawani mehrbani husn bhi achchhi musibat hai

use achchha use bimar bhi karte nahin banta

bhanwar se ji bhi ghabraata hai lekin kya kiya jae

tawaf-e-mauj-e-kam-raftar bhi karte nahin banta

isi dil ko bhari duniya ke jhagDe jhelne Thahre

yahi dil jis ko duniya-dar bhi karte nahin banta

jalati hai dilon ko sard-mehri bhi zamane ki

sawal-e-garmi-e-bazar bhi karte nahin banta

'KHizan' un ki tawajjoh aisi na-mumkin nahin lekin

zara si baat par israr bhi karte nahin banta

(424) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ko Gale Ka Haar Bhi Karte Nahin Banta In English By Famous Poet Mahboob Khizan. Mohabbat Ko Gale Ka Haar Bhi Karte Nahin Banta is written by Mahboob Khizan. Read famous Poem Mohabbat Ko Gale Ka Haar Bhi Karte Nahin Banta for youth and Student by Mahboob Khizan. Free Download Mohabbat Ko Gale Ka Haar Bhi Karte Nahin Banta in PDF.