KHizan Mein KHubiyan Aaise Bahut Hain

'KHizan' mein KHubiyan aaise bahut hain

KHarabi ek hai bante bahut hain

koi rasta kahin jae to jaanen

badalne ke liye raste bahut hain

nai duniya ke sundar ban ke andar

purane waqt ke paude bahut hain

hue jab se zamane bhar ke ham-rah

hum apne sath bhi thoDe bahut hain

lagawaT hai sitaron se purani

raqabat hai magar milte bahut hain

bahut hoga to ye sochoge shayad

ki hum bhi the yahan jaise bahut hain

hai sab surat ka chakkar, KHwab mani

dikhae hain bahut dekhe bahut hain

jasarat dil mein kya ho fan mein kya ho

mulazim-pesha hain Darte bahut hain

kisi se kyun ulajhte kya ulajhte

ye dhage KHud-ba-KHud uljhe bahut hain

thakan chaaron taraf hai chalte jao

pahunchta kaun hai chalte bahut hain

KHafa hum se na ho ai chashm-e-jaanan

hum is andaz par marte bahut hain

kaho ye bhi 'KHizan' kahne se pahle

jo kahte kuchh nahin kahte bahut hain

(364) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHizan Mein KHubiyan Aaise Bahut Hain In English By Famous Poet Mahboob Khizan. KHizan Mein KHubiyan Aaise Bahut Hain is written by Mahboob Khizan. Read famous Poem KHizan Mein KHubiyan Aaise Bahut Hain for youth and Student by Mahboob Khizan. Free Download KHizan Mein KHubiyan Aaise Bahut Hain in PDF.