Maine Kuchh Nahin Kaha

raat us ko KHwab mein dekh kar

main ne kuchh nahin kaha

chaar sal ki thakan jawan hui

tishnagi baDh ke be-karan hui

han magar jab aansuon ki narm garm tazgi

aas-pas dilkashi bikhar gai

aur ek saya sa sirhane aa ke tham gaya

main ne ye kaha ki ai mere KHuda

tu baDa rahim hai

us ka dil do nim hai

us ke rang us ke husn ko nikhaar de

us ke dil ka bojh utar de

tu use sukun de mujhe junun de

us ke dukh us ke dard chhin le

us ke rog mujh ko de

main gunahgar hun

raat us ko KHwab mein dekh kar

chaar sal jaise phir usi tarah guzar gae

chaar sal kis tarah guzar gae

dil ye sochta raha

main ne kuchh nahin kaha

(315) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Kuchh Nahin Kaha In English By Famous Poet Mahboob Khizan. Maine Kuchh Nahin Kaha is written by Mahboob Khizan. Read famous Poem Maine Kuchh Nahin Kaha for youth and Student by Mahboob Khizan. Free Download Maine Kuchh Nahin Kaha in PDF.