Ye Jo Hum Kabhi Kabhi Sochte Hain Raat Ko

ye jo hum kabhi kabhi sochte hain raat ko

raat kya samajh sake in muamlat ko

husn aur najat mein fasl-e-mashriqain hai

kaun chahta nahin husn ko najat ko

ye sukun-e-be-jihat ye kashish ajib hai

tujh mein band kar diya kis ne shash-jahat ko

sahil-e-KHayal par kahkashan ki chhuT thi

ek mauj le gai in tajalliyat ko

aankh jab uThe bhar aae sher ab kaha na jae

kaise bhul jae wo bhulne ki baat ko

dekh ai meri nigah tu bhi hai jahan bhi hai

kis ne ba-KHabar kiya dusre ki zat ko

kya ai meri nigah tu bhi hai jahan bhi hai

kis ne ba-KHabar kaha dusre ki zat ko

kya huin riwayaten ab hain kyun shikayaten

ishq-e-na-murad se husn-e-be-sabaat ko

ai bahaar-e-sar-giran tu KHizan-nasib hai

aur hum taras gae tere iltifat ko

(412) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jo Hum Kabhi Kabhi Sochte Hain Raat Ko In English By Famous Poet Mahboob Khizan. Ye Jo Hum Kabhi Kabhi Sochte Hain Raat Ko is written by Mahboob Khizan. Read famous Poem Ye Jo Hum Kabhi Kabhi Sochte Hain Raat Ko for youth and Student by Mahboob Khizan. Free Download Ye Jo Hum Kabhi Kabhi Sochte Hain Raat Ko in PDF.