Hum Aap Qayamat Se Guzar Kyun Nahin Jate

hum aap qayamat se guzar kyun nahin jate

jine ki shikayat hai to mar kyun nahin jate

katraate hain bal khate hain ghabraate hain kyun log

sardi hai to pani mein utar kyun nahin jate

aankhon mein namak hai to nazar kyun nahin aata

palkon pe guhar hain to bikhar kyun nahin jate

aKHbar mein rozana wahi shor hai yani

apne se ye haalat sanwar kyun nahin jate

ye baat abhi mujh ko bhi malum nahin hai

patthar idhar aate hain udhar kyun nahin jate

teri hi tarah ab ye tere hijr ke din bhi

jate nazar aate hain magar kyun nahin jate

ab yaad kabhi aae to aaine se puchho

'mahbub-KHizan' sham ko ghar kyun nahin jate

(362) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Aap Qayamat Se Guzar Kyun Nahin Jate In English By Famous Poet Mahboob Khizan. Hum Aap Qayamat Se Guzar Kyun Nahin Jate is written by Mahboob Khizan. Read famous Poem Hum Aap Qayamat Se Guzar Kyun Nahin Jate for youth and Student by Mahboob Khizan. Free Download Hum Aap Qayamat Se Guzar Kyun Nahin Jate in PDF.