Ek Pal Mein Dam-e-guftar Se Lab-e-tar Ho Jae

ek pal mein dam-e-guftar se lab-e-tar ho jae

tujh se jo baat bhi kar le wo suKHan-war ho jae

ab yahan sirf pari-chehra rahenge aa kar

aur koi in ke alawa hai to bahar ho jae

ho gaya rishta-e-jaan phir dil-e-nadan ke sath

is sipahi ki tamanna hai ki lashkar ho jae

ab ke Thahrai hai hum ne bhi yahi shart-e-wafa

jo bhi is shahr mein aae wo sitam-gar ho jae

yani ai dida-e-tar teri inayat hai ki bas

warna maidan-e-suKHan aaj hi banjar ho jae

hum ne aashob ke aalam mein kahi hai ye ghazal

so ye KHwahish hai ki har sher gul-e-tar ho jae

(399) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Pal Mein Dam-e-guftar Se Lab-e-tar Ho Jae In English By Famous Poet Mahtab Haider Naqvi. Ek Pal Mein Dam-e-guftar Se Lab-e-tar Ho Jae is written by Mahtab Haider Naqvi. Read famous Poem Ek Pal Mein Dam-e-guftar Se Lab-e-tar Ho Jae for youth and Student by Mahtab Haider Naqvi. Free Download Ek Pal Mein Dam-e-guftar Se Lab-e-tar Ho Jae in PDF.