Gahre Suron Mein Arz-e-nawa-e-hayat Kar

gahre suron mein arz-e-nawa-e-hayat kar

sine pe ek dard ki sil rakh ke baat kar

ye duriyon ka sail-e-rawan barg-e-nama bhej

ye faslon ke band-e-giran koi baat kar

tera dayar raat meri bansuri ki lai

is KHwab-e-dil-nashin ko meri kaenat kar

mere ghamon ko apne KHayalon mein bar de

in uljhanon ko silsila-e-waqiat kar

aa ek din mere dil-e-viran mein baiTh kar

is dasht ke sukut-e-suKHan-ju se baat kar

'amjad' nashat-e-zist isi kashmakash mein hai

marne ka qasd jine ka azm ek sat kar

(313) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gahre Suron Mein Arz-e-nawa-e-hayat Kar In English By Famous Poet Majeed Amjad. Gahre Suron Mein Arz-e-nawa-e-hayat Kar is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Gahre Suron Mein Arz-e-nawa-e-hayat Kar for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Gahre Suron Mein Arz-e-nawa-e-hayat Kar in PDF.