Har Waqt Fikr-e-marg-e-gharibana Chahiye

har waqt fikr-e-marg-e-gharibana chahiye

sehhat ka ek pahlu marizana chahiye

duniya-e-be-tariq mein jis samt bhi chalo

raste mein ek salam rafiqana chahiye

aankhon mein umDe ruh ki nazdikiyon ke sath

aisa bhi ek dur ka yarana chahiye

kya pastiyon ki zillaten kya azmaton ke fauz

apne liye azab judagana chahiye

ab dard-e-shush bhi sans ki koshish mein hai sharik

ab kya ho ab to nind ko aa jaana chahiye

raushan taraiyon se utarti hawa mein aaj

do chaar gam laghzish-e-mastana chahiye

'amjad' in ashk-bar zamanon ke waste

ek saat-e-bahaar ka nazrana chahiye

(1384) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Waqt Fikr-e-marg-e-gharibana Chahiye In English By Famous Poet Majeed Amjad. Har Waqt Fikr-e-marg-e-gharibana Chahiye is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Har Waqt Fikr-e-marg-e-gharibana Chahiye for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Har Waqt Fikr-e-marg-e-gharibana Chahiye in PDF.