Is Apni Kiran Ko Aati Hui Subhon Ke Hawale Karna Hai

is apni kiran ko aati hui subhon ke hawale karna hai

kanTon se ulajh kar jina hai phulon se lipaT kar marna hai

shayad wo zamana lauT aae shayad wo palaT kar dekh bhi len

in ujDi ujDi nazron mein phir koi fasana bharna hai

ye soz-e-darun ye ashk-e-rawan ye kawish-e-hasti kya kahiye

marte hain ki kuchh din ji len hum jite hain ki aaKHir marna hai

ek shahr-e-wafa ke band dariche aankhen miche sochte hain

kab qafila-ha-e-KHanda-e-gul ko in rahon se guzarna hai

is nili dhund mein kitne bujhte zamane rakh bikher gae

ek pal ki palak par duniya hai kya jina hai kya marna hai

raston pe andhere phail gae ek manzil-e-gham tak sham hui

ai ham-safaro kya faisla hai ab chalna hai ki Thaharna hai

har haal mein ek shoridgi-e-afsun-e-tamanna baqi hai

KHwabon ke bhanwar mein bah kar bhi KHwabon ke ghaT utarna hai

(546) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Apni Kiran Ko Aati Hui Subhon Ke Hawale Karna Hai In English By Famous Poet Majeed Amjad. Is Apni Kiran Ko Aati Hui Subhon Ke Hawale Karna Hai is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Is Apni Kiran Ko Aati Hui Subhon Ke Hawale Karna Hai for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Is Apni Kiran Ko Aati Hui Subhon Ke Hawale Karna Hai in PDF.