Ye Tujhse Aashna Duniya Se Begane Kahan Jate

ye tujh se aashna duniya se begane kahan jate

tere kuche se uThte bhi to diwane kahan jate

qafas mein bhi mujhe sayyaad ke hathon se milte hain

meri taqdir ke likkhe hue dane kahan jate

na chhoDa zabt ne daman nahin to tere saudai

hujum-e-gham se ghabra kar KHuda jaane kahan jate

main apne aansuon ko kaise daman mein chhupa leta

jo palkon tak chale aae wo afsane kahan jate

tumhaare nam se mansub ho jate hain diwane

ye apne hosh mein hote to pahchane kahan jate

agar koi harim-e-naz ke parde uTha deta

to phir kaba kahan rahta sanam-KHane kahan jate

nahin tha mustahiq 'maKHmur' rindon ke siwa koi

na hote hum to phir labrez paimane kahan jate

(444) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Tujhse Aashna Duniya Se Begane Kahan Jate In English By Famous Poet Makhmoor Dehlvi. Ye Tujhse Aashna Duniya Se Begane Kahan Jate is written by Makhmoor Dehlvi. Read famous Poem Ye Tujhse Aashna Duniya Se Begane Kahan Jate for youth and Student by Makhmoor Dehlvi. Free Download Ye Tujhse Aashna Duniya Se Begane Kahan Jate in PDF.