RuKH Har Ek Tir-e-nazar Ka Hai Mere Dil Ki Taraf

ruKH har ek tir-e-nazar ka hai mere dil ki taraf

aane wale aa rahe hain apni manzil ki taraf

Dubne wale ki mayusi pe dil tharra gaya

kis nigah-e-yas se dekha tha sahil ki taraf

sach hai ek ujDi hui duniya ke kya lail-o-nahaar

tum se bhi ab to na dekha jaega dil ki taraf

kis fasurda-KHatiri se raat-bhar jalti rahi

der tak dekha kiye hum sham-e-mahfil ki taraf

apni marzi se nahin apne irade se nahin

har musafir ke qadam uThte hain manzil ki taraf

tum ko kya malum kya banti hai dil par ishq mein

aaina le kar zara dekho muqabil ki taraf

ho gaya 'maKHmur' raaz-e-zindagi ka inkishaf

mauj aati hai fana hone ko sahil ki taraf

(453) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RuKH Har Ek Tir-e-nazar Ka Hai Mere Dil Ki Taraf In English By Famous Poet Makhmoor Dehlvi. RuKH Har Ek Tir-e-nazar Ka Hai Mere Dil Ki Taraf is written by Makhmoor Dehlvi. Read famous Poem RuKH Har Ek Tir-e-nazar Ka Hai Mere Dil Ki Taraf for youth and Student by Makhmoor Dehlvi. Free Download RuKH Har Ek Tir-e-nazar Ka Hai Mere Dil Ki Taraf in PDF.