Jhuki Nigah Mein Hai Dhab Pursish-e-nihani Ka

jhuki nigah mein hai Dhab pursish-e-nihani ka

haya mein zor diya rang mehrbani ka

jiye hain garm nafas soz se ki bahr-e-charagh

kare hai shola hi kaam aab-e-zindagani ka

tabassum-e-lab-e-gunche ko dekh rota hun

ki Thik rang hai us KHanda-e-nihani ka

kahan se zor-e-dil-o-sina-o-jigar laun

tumhein to khel laga hath tegh-rani ka

ilahi jaib ki daman ki aastin dhoun

mizha ne sikh liya shaghl KHun-fishani ka

nahin bacha maraz-e-ishq se koi 'mamnun'

hamein daregh bahut hai teri jawani ka

(368) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jhuki Nigah Mein Hai Dhab Pursish-e-nihani Ka In English By Famous Poet Mamnoon Nizamuddin. Jhuki Nigah Mein Hai Dhab Pursish-e-nihani Ka is written by Mamnoon Nizamuddin. Read famous Poem Jhuki Nigah Mein Hai Dhab Pursish-e-nihani Ka for youth and Student by Mamnoon Nizamuddin. Free Download Jhuki Nigah Mein Hai Dhab Pursish-e-nihani Ka in PDF.