Har-qadam Par Shauq-e-manzil Ki Farawani To Hai
har-qadam par shauq-e-manzil ki farawani to hai
rah-e-dushwar-e-mohabbat mein ye aasani to hai
be-shak is jine se mar jaane mein aasani to hai
lekin ai dil marzi-e-qatil ki qurbani to hai
sach hai shewan se mere un ko pareshani to hai
lekin aaKHir dard-e-uzr-e-nala-e-samani to hai
kaamyabi ho na ho baiTha na rah tadbir kar
muddaa bas mein nahin hai sai-e-imkani to hai
aaj ye taskin kafi hai ki kal roz-e-jaza
ruedad-e-zist kah kar dad-e-gham pani to hai
han yahan ye hai ki maqsud-o-tamanna sath hain
warna ye jannat hamari jaani-pahchani to hai
ek zarf-e-dil hai us mein do ki gunjaish kahan
dur ai jamiyat-e-KHatir pareshani to hai
han bure ko bhi na iza de ki us ki zat mein
KHu-e-insani nahin hai ruh-e-haiwani to hai
rahnumai aql se chahi shuru-e-ishq mein
afw kar ai be-KHudi ye meri nadani to hai
dekhiye bazar-e-mahshar mein ye kin damon bike
jins-e-gham ki KHair se duniya mein arzani to hai
aur niklegi koi tadbir pairahan-dari
hon jo shal hain hath shauq-e-chaak-damani to hai
aaine mein eqtidar-e-husn ki surat kahan
aaina rakh de idhar aa meri hairani to hai
un ko kya TuTe kisi ka dil ki ruswa ho koi
KHush rahen yusuf ki sabit pak-damani to hai
kis gharaz se phir gawara kijiye taklif-e-zabt
raaz rakh kar bhi mohabbat ki saza pani to hai
ahl-e-dil se ye jahan KHali bhi rahta hai kahin
'urfi'-o-'ghaalib' nahin 'fani' nahin 'mani' to hai
(426) Peoples Rate This
Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544