Hijr Ka Gham Bhi Nahin Wasl Ki Parwa Bhi Nahin

hijr ka gham bhi nahin wasl ki parwa bhi nahin

dil bhi pahlu mein nahin dil ki tamanna bhi nahin

nahin darkar nahin mujh ko gham-e-chaara-e-gham

han main diwana hun be-shak magar itna bhi nahin

tum na sharmao na ghabrao main kahta bhi hun kuchh

zikr-e-wada bhi nahin KHwahish-e-ifa bhi nahin

joshish-e-girya ek eajaz hai warna dil-e-zar

aaKHir ek bund hai baadal nahin dariya bhi nahin

be-KHudi hashr mein kya yaad dilaunga use

KHud mujhe yaad ab us shoKH ka wada bhi nahin

waqt pursish hai abhi fursat-e-ehsan hai abhi

aaiye main abhi zinda bhi hun achchha bhi nahin

ab kahan lazzat-e-ehsas-e-taraqqi 'mani'

yas mein jazar-o-mad-e-dard-e-tamanna bhi nahin

(423) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr Ka Gham Bhi Nahin Wasl Ki Parwa Bhi Nahin In English By Famous Poet Mani Jayasi. Hijr Ka Gham Bhi Nahin Wasl Ki Parwa Bhi Nahin is written by Mani Jayasi. Read famous Poem Hijr Ka Gham Bhi Nahin Wasl Ki Parwa Bhi Nahin for youth and Student by Mani Jayasi. Free Download Hijr Ka Gham Bhi Nahin Wasl Ki Parwa Bhi Nahin in PDF.