Ishq Hai Gham Jo Sikhata Hai Fana Ho Jaana

ishq hai gham jo sikhata hai fana ho jaana

dard-e-dil hai jise aata hai dawa ho jaana

dars-e-himmat hai nae rah-raw-e-ulfat ke liye

kanTe pana to mera barahna-pa ho jaana

ishq pyara hai to neamat hai gham-e-mahjuri

in ka milna hai mohabbat ka juda ho jaana

hosh la-hasli-e-shikwa-e-nakaami hai

be-KHudi mein mera raazi-ba-raza ho jaana

ai pashiman-e-sitam ja ki jahan dekh chuka

mera marna tere wade ka wafa ho jaana

wasl-e-jaanan ki tamanna hai to miT ja pahle

yun mayassar nahin bande ko KHuda ho jaana

sans ginta hun tamanna mein ki dekhun 'mani'

gham-e-dil ka adab-amoz-e-fana ho jaana

(366) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Hai Gham Jo Sikhata Hai Fana Ho Jaana In English By Famous Poet Mani Jayasi. Ishq Hai Gham Jo Sikhata Hai Fana Ho Jaana is written by Mani Jayasi. Read famous Poem Ishq Hai Gham Jo Sikhata Hai Fana Ho Jaana for youth and Student by Mani Jayasi. Free Download Ishq Hai Gham Jo Sikhata Hai Fana Ho Jaana in PDF.