KHair Se Zist Ka Ai Kash Ho Anjam Abhi

KHair se zist ka ai kash ho anjam abhi

waqt achchha hai zaban par hai tera nam abhi

han labaalab to hai labrez nahin jam abhi

zabt mein hai asar-e-gardish-e-ayyam abhi

wo nahin hain to nigahon mein hai duniya andher

kaise raushan the munawwar the dar-o-baam abhi

yahi samjhenge mohabbat ko hayat-e-jawed

jo samajhte hain use maut ka paigham abhi

be-niyazi-e-tamanna ki hai ek jannat-e-ishq

dil ne paya nahin fitrat se ye inam abhi

ta-ba-mearaj-e-yaqin dekhiye kab tak pahunchun

dil ki gahraiyon mein hain bahut auham abhi

aazim-e-bargah-e-dost tha 'mani' lekin

kya pahunchta ki hai sar bar-dar-e-asnam abhi

(327) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHair Se Zist Ka Ai Kash Ho Anjam Abhi In English By Famous Poet Mani Jayasi. KHair Se Zist Ka Ai Kash Ho Anjam Abhi is written by Mani Jayasi. Read famous Poem KHair Se Zist Ka Ai Kash Ho Anjam Abhi for youth and Student by Mani Jayasi. Free Download KHair Se Zist Ka Ai Kash Ho Anjam Abhi in PDF.