KHu-e-gham Dil Ko Hai Yani His-e-gham Kuchh Bhi Nahin

KHu-e-gham dil ko hai yani his-e-gham kuchh bhi nahin

kya hai ab kar-gah-e-naz-o-sitam kuchh bhi nahin

roz-e-fariyaad se maghlub nahin taqat-e-shukr

jabr-e-taqdir-e-giran bari-e-gham kuchh bhi nahin

zindagi muzda-e-gham maut nawed-e-gham-e-nau

koi rudad ba-har-shan-e-karam kuchh bhi nahin

ek taraf hashr mein tu ek taraf bahr-e-karam

daman-e-tar to ab ai dida-e-nam kuchh bhi nahin

darKHur-e-be-KHudi-e-dil na alam hai na surur

zahr-e-gham kuchh bhi nahin saghar-e-jam kuchh bhi nahin

farq-e-zarf-e-dil-o-paimana-e-taqdir na puchh

us ne bharpur diya aur use gham kuchh bhi nahin

kya KHabar kya hai ye hangama-e-hasti 'mani'

hum ko itna to hai malum ki hum kuchh bhi nahin

(356) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHu-e-gham Dil Ko Hai Yani His-e-gham Kuchh Bhi Nahin In English By Famous Poet Mani Jayasi. KHu-e-gham Dil Ko Hai Yani His-e-gham Kuchh Bhi Nahin is written by Mani Jayasi. Read famous Poem KHu-e-gham Dil Ko Hai Yani His-e-gham Kuchh Bhi Nahin for youth and Student by Mani Jayasi. Free Download KHu-e-gham Dil Ko Hai Yani His-e-gham Kuchh Bhi Nahin in PDF.