Lab Pe Aish-e-ahd-e-mazi Ka Hai Afsana Hanuz

lab pe aish-e-ahd-e-mazi ka hai afsana hanuz

ja chuki hai fasl-e-gul aur main hun diwana hanuz

chain kaisa qabr mein sar par hai roz-e-baz-purs

dastan-e-dard-e-hasti ko hai dohrana hanuz

ab bhi sharh-e-soz-e-dil karti hai parwane ki KHak

sun rahi hai shama KHamoshi se afsana hanuz

phenk di sari sharab ai wae be-sabri-e-shauq

lab tak aane bhi nahin paya tha paimana hanuz

kya miTe ummid-e-tasir-e-dua ka iztirab

dil hai shan-e-rahmat-e-bari ka diwana hanuz

zindagi aaKHir hui lekin hawas ki had nahin

qabr banne ko hai aur banta hai kashana hanuz

na-umidi bhi mudawa be-qarari ka nahin

mashghala dil ka hai tum ko yaad farmana hanuz

umr-bhar khaya fareb-e-dosti lekin ye dil

rasm-o-rah-e-ahl-e-alam se hai begana hanuz

zist ki har sans hoti hai ham-aghosh-e-fana

har-nafas hai maut aur baqi hai mar jaana hunuz

kahte kahte arsa-e-mahshar tak aaya hun magar

na-mukammal hai gham-e-hasti ka afsana hanuz

paiham aankhon ka jhapakna kya juz ima-e-sujud

in ishaaron se magar 'mani' hai begana hanuz

(361) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab Pe Aish-e-ahd-e-mazi Ka Hai Afsana Hanuz In English By Famous Poet Mani Jayasi. Lab Pe Aish-e-ahd-e-mazi Ka Hai Afsana Hanuz is written by Mani Jayasi. Read famous Poem Lab Pe Aish-e-ahd-e-mazi Ka Hai Afsana Hanuz for youth and Student by Mani Jayasi. Free Download Lab Pe Aish-e-ahd-e-mazi Ka Hai Afsana Hanuz in PDF.