Maut Han Bar-haq Hai Lekin Zindagi Fani Kahan

maut han bar-haq hai lekin zindagi fani kahan

qissa-e-hasti ba-anjam-e-tan-asani kahan

aap ke sajde mein ruh-e-sajda ai 'mani' kahan

kash ye ehsas hota KHam hai peshani kahan

mushkilon se ruh ko manus hona chahiye

zindagi dushwariyon hi mein hai aasani kahan

ai zuleKHa bartar-az-insaniyat ka zikr chhoD

dard se begana rahna kar-e-insani kahan

tishna-e-maqsud dhokha hai jhalak ummid ki

sirf ek manzar sarab-asa hai ye pani kahan

kaT di bistar pe angaron ke sari zindagi

ai tamanna is se baDh kar koi qurbani kahan

manzil-e-hairat mein laya imtihan-e-tab-e-did

dekhiye le jaegi ab dil ki hairani kahan

kasrat-o-wahdat mein nisbat hai shua-o-shams ki

ek hi jalwa hai jalwon ki farawani kahan

miT ke mere ghar ki raunaq aalam-e-ibrat bani

dasht bhi viran hai lekin naf-e-virani kahan

aish-e-azadi kabhi milta to hota ranj-e-qaid

mustaqil jamiyat-e-dil hai pareshani kahan

ye faza-e-fikr ai 'mani' hai mearaj-e-suKHan

ab magar taKHil mein wo barq-samani kahan

(716) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maut Han Bar-haq Hai Lekin Zindagi Fani Kahan In English By Famous Poet Mani Jayasi. Maut Han Bar-haq Hai Lekin Zindagi Fani Kahan is written by Mani Jayasi. Read famous Poem Maut Han Bar-haq Hai Lekin Zindagi Fani Kahan for youth and Student by Mani Jayasi. Free Download Maut Han Bar-haq Hai Lekin Zindagi Fani Kahan in PDF.