BhaTakta Karwan Hai Aur Main Hun

bhaTakta karwan hai aur main hun

talash-e-raegan hai aur main hun

bataun kya tumhein hasil safar ka

adhuri dastan hai aur main hun

naya kuchh bhi nahin qisse mein mere

wahi bojhal saman hai aur main hun

har ek jaanib tilismati manazir

nazar ka imtihan hai aur main hun

koi shahid nahin sajdon ka mere

jabin par ek nishan hai aur main hun

shikasta baal-o-par takte hain mujh ko

fasil-e-asman hai aur main hun

dua mangun kahan kis dar pe ja ke

dayar-e-be-aman hai aur main hun

bahut dhundli nazar aati hai duniya

umidon ka dhuan hai aur main hun

bhaTakta hun zamin par sar-barahna

falak ka saeban hai aur main hun

(375) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BhaTakta Karwan Hai Aur Main Hun In English By Famous Poet Manish Shukla. BhaTakta Karwan Hai Aur Main Hun is written by Manish Shukla. Read famous Poem BhaTakta Karwan Hai Aur Main Hun for youth and Student by Manish Shukla. Free Download BhaTakta Karwan Hai Aur Main Hun in PDF.