Hijr-e-jaanan Mein Ji Se Jaana Hai

hijr-e-jaanan mein ji se jaana hai

bas yahi maut ka bahana hai

kyun na barsaen ashk dida-e-tar

aatish-e-ishq ka bujhana hai

ho adu jis pe kijiye ehsan

kuchh ajab tarah ka zamana hai

yaad dilwa ke dastan-e-visal

aashiq-e-zar ko rulana hai

rakh dila roz-o-shab umid-e-visal

ranj-e-furqat agar bhulana hai

jaan jati hai jis jagah sab ki

usi kuche mein apna jaana hai

koi dam mein adam ko hun rahi

aa agar tujh ko ab bhi aana hai

KHak-sari na chhoDna 'rana'

ek din KHak hi mein jaana hai

(367) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr-e-jaanan Mein Ji Se Jaana Hai In English By Famous Poet Mardan Ali Khan Rana. Hijr-e-jaanan Mein Ji Se Jaana Hai is written by Mardan Ali Khan Rana. Read famous Poem Hijr-e-jaanan Mein Ji Se Jaana Hai for youth and Student by Mardan Ali Khan Rana. Free Download Hijr-e-jaanan Mein Ji Se Jaana Hai in PDF.