Gai Jo Tifli To Phir Aalam-e-shabab Aaya

gai jo tifli to phir aalam-e-shabab aaya

gaya shabab to ab mausam-e-KHizab aaya

main shauq-e-wasl mein kya rail par shitab aaya

ki subh hind mein tha sham panj-ab aaya

kaTa tha roz-e-musibat KHuda KHuda kar ke

ye raat aai ki sar pe mere azab aaya

kahan hai dil ko abas DhunDhte ho pahlu mein

tumhaare kuche mein muddat se us ko dab aaya

kisi ki tegh-e-taghaful ka main wo kushta hun

na jaga neze pe sau bar aaftab aaya

nazar paDi na meri roab-e-husn se ruKH par

agarche samne mere wo be-naqab aaya

hamesha surat-e-anjum khuli rahin aankhen

firaq-e-yar mein kis rose mujh ko KHwab aaya

hua yaqin ki zamin par hai aaj chand-gahan

wo mah chehre pe jab Dal kar naqab aaya

hue jo dida-e-girya se apne ashk rawan

guman hua ki barasta hua sahab aaya

bana tasawwur-e-laila ba-surat-e-taswir

kabhi jo qais ki aankhon mein shab ko KHwab aaya

wo zud-ranj hai us ko na chheDna 'rana'

maloge hath agar bar-sar-e-itab aaya

(347) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gai Jo Tifli To Phir Aalam-e-shabab Aaya In English By Famous Poet Mardan Ali Khan Rana. Gai Jo Tifli To Phir Aalam-e-shabab Aaya is written by Mardan Ali Khan Rana. Read famous Poem Gai Jo Tifli To Phir Aalam-e-shabab Aaya for youth and Student by Mardan Ali Khan Rana. Free Download Gai Jo Tifli To Phir Aalam-e-shabab Aaya in PDF.